EP 01 – Aarambh : The Unheard History of India
Chol shasakon ki sabse pahali janakari 300 AD se milani shuru houi thi. Dakshin bharat ke ‘sangam sahitya’ jaise oldest literature me chol rajaon ka ullekh paya gay hai. Iss samay ko chol shasakon ka pahala daur kaha jata hai. Iss daur me 300 AD se 200 AD tak chol rajaon ke naam ke alava aur bhi kai sakshya mili hai. Janiye Chol shasakon ki andekhi, ankahi kahani.
EP 02 – Rise of the Cholas
Chol vansh ka 848 AD se lekar 1070 AD ke bich tak ka samay sabse mahatvapurn raha tha. Iss daur me chol samraton ke dvara chol samrajya ka akalpaniy vistar kiya gaya tha. Iss kalkhand ko ham bharatiya itihas ki nirnayak mod bhi kah sakte hain. Chol samrajya ke iss daur ko sabse vaibhavapurn aur swarnim kaal maana jata hai. Janiye iss kalkhand judi sachi kahani.
EP 03 – Expansion of Kingdom; Samrat Rajaraj Pratham
Cholavanshiy ‘rajaraj’ pratham pahale aise bharatiya shasak the. Jinhone bharat ke bahar chol samrajya ka vistar karte hue tab ke anuradhapur. Yani shri lanka par aakraman kiya tha. Jisse ghabarakar wahan ke shasak ne sharangati leni padi thi. Janiye iss shurveer parakrami raja ansuni gatha hamare naye episode me.
EP 04 – Expansion of Kingdom; Samrat Rajaraj Pratham
Chol-vansh-parampara ko aage badhate hue. Samrat Rajaraj pratham ke baad unke putra ‘Rajendra’ pratham 1014 AD mein sinhasan par aasin hue the. ‘Rajendra’ pratham 1014 AD se 1044 AD tak chol samrajya ke yashaswi samrat rahe the. ‘Rajendra’ pratham apne pita ki tarah hi atyant shaktishali aur samrajyawadi samrat the. Apne pita ke chale rah par chalet kis tarah unhone chol samrajya ka vistaar kiya ? janne ke liye suniye chol rajvansh ka naya episode.
EP 05 – Shield of Chola Kingdom; Rajendradhvithiya Aur Rajmahendra
Samrat Rajendra pratham ke baad unke putra ‘Rajadhiraj’ pratham unke uttaradhikari bane the. Waise Rajadhiraj pratham ‘Yuvaraj’ hokar bhi 1018 AD se hi apne pita ke sainya abhiyano aur prashasanik karyon me sahbhaag lete the. Lekin, sinhasan par aasin hone ke baad ‘Rajadhiraj’ pratham ko charon or se prachand vidrohon ka samana karna pada tha. Kya woh rajya me shanti aur vyavastha sthapit karne me yashaswi hue the. Yaa iske alava aur bhi kai samasyahon unhe samana karna pada. Janiye ‘Rajadhiraj’ pratham ki kahani.
EP 06 – Vidroha : Chola-Chalukya Sangarsh
Chol samrat Adhirajendra ke shasankaal me charon or vikat vidroh shuru ho gaye the. Jisne dekhte hi dekhte vikaral roop le liya tha. Jise sangharsh karte hue pahle hi saal me samrat adhirajendra ki mrtyu ho gayi thi. Aur Samrat Adhirajendra ki mrtyu ke sath hi, chol samraton dvara sthapit chol-vansh-parampara maano tham si gayi. Kya hua hoga Adhirajendra ki mrutyu ke baad suniye hamara naya episode.
EP 07 – Batwara – Chol Samrajya Ka
Charon or se lagatar vidroh se sangharsh karte hue, 1070 AD me achanak chol raja adhirajendra ki mrtyu ho gayi. Tab us ashantimay sthiti ko ek avasar mankar, chol rajya ke sinhasan par vengi ke chalukya raja kulottung pratham ko virajaman kar diye gaye the. Kyonki, divangat samrat Adhirajendra ki koi bhi santan nahi thi. Ab sadiyon se chalati aayi chol-vansh-parampara ka aage kya hua janiye hamare naye episode me.
EP 08 – Chol Samrajya aur Paashaan-Mandiron Ka Ithihaas Part 1
Chol shasak bahut hi utsahi pravruti ke nirmata the. Unke samay me kala aur sthapatya ke kshetra me bahut pragati hui thi. Chol samrajya ke kalkhand me praja ke dharmik jeevan me mandiron ka vishesh mahatva tha. Kyonki, tab mandir mukhyatah shiksha ke kendra hua karte the. Sath hi tyoharon aur utsavon par iname gayan, vadan, nrtya, natya-natikaon aur manoranjan ke vibhinn aayojan hote the. Kai udyogon aur shilpon se jude logon ko mandiron ke karan jeevika milati thi. Isliye, Chol rajyakal me sabhi nagaron aur ganvon me bahut se mandiron ka nirmaankiya gaya tha.
EP 09 – Chol Samrajya aur Paashaan-Mandiron Ka Ithihaas Part 2
Chol rajaon ke shasankal ke mandir-nirman-kala ki utkrshtata ko kafi mahatva tha. Sthaapaty kala ke saath-saath chol shasakon ne takshan kala aur chitrakala ko bhi bharapur mahatva diya tha. Aur uske vikas ki taraf bhi vishesh dhyan diya tha. Janiye chol samrajya se judi aur bhi kai kahaniyaan humare naye episode me.
EP 10 – Chol Samrajya Mein Takshnakala aur Chitrakala ke Vikaas
Cholkal dakshin- bharatiya kala ka swarn yug raha tha. Chol samrajya me kala aur sahitya ke kshetr me mahatvapurna pragati hui thi. Sthaapaty kala ke sath hi cholakalin kalakaron ne takshankala me bhi khoob khyati arjit ki thi. Janiye chol samrajya se judi aur bhi kai kahaniyaan humare naye episode me.


Reviewed by 1 user
बहुत सही प्रस्तुति