EP 01 – Shuruwat : Where the twist begins…
Shaam ka waqt tha aur montu apne ghar ke baramade me se chupke se apani purani aawaz karti cyclenikal lene me kamayab ho chuka tha. Doston ke sath sadak par matgastiyan karte karte aakhir woh sab ek dukan par ruke. Woh aksar sadak par us dukaan se bun-maska khaya karte the. Par aaj bun-maska khane mein maja nahi aa raha tha. Montu ke naak me chadhate cigarette ke dhuye ne sara test kharab kar diya tha. Usne gusse se mudkar dekha aur use woh dikhi, wohi ghungrale baalon wali ladki. Janiye iss mulaqat ke baad Montu ki kahani kya mod leti hai?
EP 02 – Silsila : In search of her
Ek din bun maska kutarate–kutarate use ek aawaz sunayi di. Montu ne mudkar dekha, wo wahi thi, uski aawaz thodi khuradari si thi. Naa jyada mithi na kadavi uske bich ka kuchh. Lekin phir bhi montu ko woh kaafi attractive lagi. Wo cigarette jalate hi dukan ke dusri taraf chali gayi aur apne dono kaano me earphone lagakar idhar se udhar tahelne lagi. Wo apne dono kaano ko bahar ki sari aawajon se bachakar pata nahin kya sunna chahati thi. Ya phir kya nahin sunna chahati thi? Kya montu jaan payega us gumsum chehre ke pichhe ka raaz?
EP 03 – Aakhri Mulakat : One last time
Wo aawaz aa chuki thi jisko sunne ke liye montu bekaraar the, tution khatam ho chuki thi aur montu turant waha sidha us dukan par ja pahuncha. Dukandaar uss waqt use hi dekh raha tha. Kyunki montu uski dukan par kahi dino baad aaya tha. Office se chuthe log us dukan par aakar kuch – kuch kharidne lage, Montu un logon mein use khojne laga. Par abhi tak wo nahin aayi thi. Kya aaj montu aur uski mulaqaat ho payegi?

